Header Ads Widget

Kodaikanal - Hill Station Of India

Agar Hum Kahin Hill Station Ghoomne Jaane Ki Sochte Hai To Aapke Dimaag Mai Sabse Pehle Himachal Pradesh Or Uttarakhand Ka Naam Aata Hai Par Aisa Nahi Hai South India Mai Bhi Bahut Se Khoobsurat Hill Stations Hai.

Inme Se Hi Ek Beautiful Hill Station Hai KODAIKANAL Jaha Aapko Khoobsurat Jharne Shaant Jheele,Hare Bhare Pahad,Gehre Jungle Or Valleys, Alag Alag Prajaati Ke Phool Or Phal, Shaant Mahool Or Bhi Bahut Kuch Waghera Waghera Dekhne Ko Milega.

To Aajke Is Blog Mai Bataaunga Kodaikanal Ke Baare Mai Detail Mai Isliye Blog Pura Read Kare.

Kodaikanal About In Detail

Kodaikanal India Ki Tamilnadu State Ke Dindigul District Ki Ek City Or Hill Station Hai Jo 2133 Meter Ki Hieght Par Palani Hills Par Ghane Jungelo Se Ghira Hua Hai Jiska Ooty To Kodaikanal Ka Safar Around 250 Km Ka Hai

Kodaikanal Ka Tamil Language Mai Matlab Hota Hai "The Gift of the Forest" Wese Isko "Queen of Hill stations" Bhi Kaha Jaata Hai Jiski History Ek Popular Tourist Destination Ke Roop Mai Maani Jaati Hai.

Aisa Maana Jaata Hai Ki Kodaikanal Ek Garmio Ka Jungle Hai Or Is Jagah Ko Missionaries Matlab ( Isaai Dharam Parchaarak ) Maidaani Ilaaqo Ki Adimaani Or Maccharo Se Bhari Garmi Se Bachne Ke Liye Sharan Ke Roop Mai Istemaal Karte The Or Is Jagah Ko Wo Garmio Mai Ghoomne Mai Ginte The.

Kodaikanal Ghoomne Ka Maza Jab Double Ho Jaata Hai Jab Yaha "Kurinji" Khilta Hai Jo Ek Tareeke Ka Phool Hota Hai Lekin Ye Phool 12 Saal Mai Ek Hi Baar Khilta Hai.

Jab Ye Khilta Hai To Yaha Ki Khoobsurati Dekhna Banti Hai Or Iski Khusbo Madhosh Kar Dene Waali Hoti Hai Yaha Ke Log Is Phool Ko Apni Shaan Ke Roop Mai Bhi Dekhte Hai.

Kodaikanal History?

Kodaikanal Mai Pehle"Palaiyar" Jaati Ke Nivaasi The Kodaikanal Or Palani Hills Ka Pracheen Varnan Tamil "Sangam Literature" Mai Milta Hai.

Modern Kodaikanal Ko Establish Americi Isaai Mishanariyo Or British Naukarshaaho Ne 1845 Mai Maidaano Ka High Temperature Or Tropical Diseases Ki Sharan Lene Ke Liye Kiya Tha.

Bisvi Sadi Mai Kuch Bhartiyo Ne Is Beautiful Hill Station Ko Notice Kara Or Phir Wo Dheere Dheere Yaha Aakar Basne Lage.

Kodaikanal Population ?

Yaha Ki Aabadi 2011 Ke Census Ke According 36,501 Hai Jisme Total Ghar 9,442 Ghar Hai Jisme 48.84% Hindu,12%Musalmaan,38.69% Isaai,0.22% Buddhist,0.04% Jains,0.15% Other Relegion Or 0.04% Inki Koi Relegion Nahi Bataaya Gaya Hai.

Kodaikanal Economy?

Kodaikanal Economy Pramukh Roop Se Tourism Par Depend Hai Touristo Ki Ginti 1,999 Mai 2 Million Se Badhkar 2009 Mai 3.2 Million Ho Gai.Peak Tourist Season Ki Tyaari Ke Liye Har Saal Yaha Ke Buniyaadi Infrastructure Mai Badlaao Hota Hai.

Or Major Roads Ko One Way Lane Mai Badal Diya Jaata Hai Taaki Traffic Baraabar Chalta Rahe.

Special Police Ko Tourists Ki Security Or Local Business Karne Walo Ki Protection Mai Lagaaya Jaata Hai Or High Season Ke Time Hotels Poori Tareeke Se Book Kiye Jaate Hai.

How to Reach Kodaikanal?

By Air :- Agar Aap Yaha Plane Se Jaana Chahte Hai To Nearest Airpot Hai Madhurai Airpot Jo Kodiakanal Se 120 Km Door Hai Uske Baad Aap Bus Ya Cab Se Kodaikanal Pahunch Sakte Hai.

By Train :- Agar Aap Yaha Train Se Jaana Chahte Hai To Nearest Railway Station Hai Kodai Road Jo Kodiakanal Se 80 Km Door Hai Uske Baad Aap Taxi Ya Bus Se Kodaikanal Pahunch Sakte Hai.

By Bus :- Agar Aap Yaha Bus Se Jaana Chahte Hai To Aap Apni City Se Chennai, Coimbatore, Pondicherry, Madurai Jesi Cities Tak Pahunch Kar Kaodaikanal Tak Bus Se Jaa Sakte Hai.

Places To Visit In Kodaikanal?

1. Kodaikanal Lake.

2. Coaker's Walk.

3. Bryant Park.

4. Silver Cascade Falls.

5. Bear Shola Falls.

6. Kurinji Andavar Temple.

7. Kodaikanal Solar Observatory Museum.

8. Kurinji Andavar Temple Road.

9. Echo Point.

10. Vattakanal Water Falls.

11. Guna Caves.

12. Palni Hills.

13. Fairy Falls.

14. Moir Point.

15. Kumbakkarai Falls.

16. Green Valley View Point.

17. Dolphin Nose.

18. Berijam Lake.

19. Thalaiyar Waterfalls.

20. Gundar Falls.( Aap Kodaikanal To Munnar Bhi Jaa Sakte Hai )

Best Time To Visit Kodaikanal?

Summer :- ( April To June ) Summer Mai Yaha Ka Temperature 20° Degree To 35° Degree Hota Hai To Aap Summers Mai Jaa Sakte Hai Agar Aap Jaana Chahte Hai.

Winters :- ( Octobor To March ) Winter Best Time Hota Hai Yaha Jaane Ke Liye Kyunki Winters Mai Kodaikanal Temperature 8°Degree Celsius Se Bhi Neeche Pahunch Jaata Hai.

Monsoon :- ( July To September ) Agar Aapko Yaha Kum Budget Mai Rehna Or Ghoomna Firna Hai To Aap Monsoon Mai Yaha Jaa Sakte Hai Kyuki Monsoon Mai Heavy Rainfall Hone Ki Wajah Se Yaha Off Season Hota Hai.

Jiski Wajah Se Aapko Yaha Bahut Kam Rate Mai Hotel Mil Jaate Hai Kyunki Yaha Tourists Bahut Kam Jaate Hai Par Yaha Monsoon Mai Bahut Greenery Hoti Hai Or Waterfalls Waghera Overflow Hote Hai Monsoon Mai Yaha Jaane Ka Maza Bhi Alag Hi Hai.

Wese To Aap Yaha Pure Saal Yaha Jaa Sakte Hai kyunki Pure Saal Hi Kodaikanal Wheather Theek Rehta Hai.

Kodaikanal Hotels?

Hotels :- Aapko Yaha Rehne Ke Liye Acche Hotels Aapke Comforts Or Aapke Budget Ke According Mil Jaayenge.

AGAR AISE HI AAP APNI FAVOURITE OR AMAZINGS TRAVEL DESTINATIONS KE BAARE MAI DETAIL MAI JAAN NA CHAHTE HAI TO JAGAH KA NAAM COMMENT OR FOLLOW KARE.

Some Others Pictures Of Kodaikalan


Image source Google


Thanks for Reading 🙏

Post a Comment

0 Comments

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();